Mubarak Ho Tumko Ye Shaadi Tumhari MP4 Video Song

Mubarak Ho Tumko Ye Shaadi Tumhari Song Lyrics


"
-MALE--
Tere maathe ki bindiya chamakti rahe
Tere haathon ki mehndi mahekti rahe
Tere jode ki raunak salaamat rahe
Teri choodi hamesha khanakti rahe

--CHORUS--
Mubaarak mubaarak mubaarak mubaarak - 2

--MALE--
Mubaarak ho tumko yeh shaadi tumhaari - 2
Sada khush raho tum dua hai hamaari
Tumhaare kadam choome yeh duniya saari - 2
Sada khush raho tum dua hai hamaari
Mubaarak ho tumko yeh shaadi tumhaari
Sada khush raho tum dua hai hamaari

Tumhaare liye hai bahaaron ke mausam
Na aaye kabhi zindagi mein koi gham
Hamaara hai kya yaar hum hai deewane
Hamaari tadap to koi bhi na jaane
Mile na tumhe ishq mein beqaraari - 2
Sada khush raho tum dua hai hamaari
Mubaarak ho tumko yeh shaadi tumhaari
Sada khush raho tum dua hai hamaari

Aa aa aa aa, aa aa aa, aa aa aa aa - 2
Ke janmon ke rishte nahin tode jaate
Safar mein nahin hamsafar chhode jaate
Na rasm-o-riwaajon ko tum bhool jaana
Jo li hai kasam to isse tum nibhaana
Ke humne to tanha umar hai guzaari - 2
I have spent my life alone
Sada khush raho tum dua hai hamaari
Tumhaare kadam choome yeh duniya saari - 2
Sada khush raho tum dua hai hamaari
Mubaarak ho tumko yeh shaadi tumhaari
Sada khush raho tum dua hai hamaari

Jaa maine bhi pyaar kiya hai
Haan maine bhi pyaar kiya hai - 3

--CHORUS--
Mubaarak mubaarak mubaarak mubaarak
"